Ankita MehtaMom of a 9 yr 11 m old girl3 months agoA. hi
ji , ha bachche aesa krte he
magar usko encourage krne k liye me kuchh tips bta rahi hu aasha he ki aapko helpful ho:
bachche ko jo bhi khana de puri tali bhar k nahi thoda thoda hi dena he
nye nye recipes google pe search kr k try kijiye
jese ki chawal se idli bhi banti he , aur pulav , kheer ,dosa bhi bnta he to alag alag ye chize try kre
aur jab khana parose , usse alag alag aakar ya alag colorwala khana parose ,kyunki kai bar monotony k karan bhi bachche aesa krte he
jese ki har bar parathe same hi rehte he magar yadi aap uss me palak ya beet dal k usse colour de ya fir cookie cutter se parathe ko kat kr alag alag aakar me parosenge to bachche ka wo khane me man bhi honga.
bs bachche ko thoda time bhi dena he ki wo nya food try kre
usse force nahi krna he
Post Answer