Shivani ThapliyalGuardian of a 4 yr 3 m old girl3 years agoA. meri beti abhi 8 months ki hai or usko bhi last month aise hi problem hui thi... maine sabse pehle to uske solid foods ko thoda or liquid banaya
secondly.. baby k food ko fine puree banana band kiya or haat se hi thoda thoda mash kar k dena start kiya...
sath hi uska food check Kiya ki aisi kon si cheez hai jo usko problem kar Rahi hai .. to maine dekha jab bhi maine usko gaajar or apple diya boil kar k tab tab usko yahi problem jyada hui...
to ye dono hi fruits maine uske juice mein add kiye.. or boil kar k dena band kiya
sath maine usko thoda thoda chiku.. papita... thoda kaddu boil kar k or thoda paalak diya . to usse kaafi araam mila... ab mai ye sab cheeze usko zaroor deti hun .. garam paani bhi morning mein dena achcha rehta hai.
sath hi doctor se bhi mil lo ek baar... wo koi medicine bata denge aapko.. par uski aadat naa daalna ., ek baar theek hone k baad jitna ho sake natural ways hi follow karna...
I know ye time bahut painful hota hai parents k liye.. khud bhi Rona aa jata hai or samajh nahi aata ki kya karen ab....
don't worry sab theek ho jayega bus diet ko zarur check kariyega ki aisi kon si cheez hai jis se aapke bete ko problem ho rahi hai...
DR SHIWAJIRAO PATILGuardian of 2 children3 years agoA. Hello, your baby boy is 9 months old and he is having a very hard stool so give him papya and apple crush and syrup duphalac 5 ml at night sos
Post Answer